×

Likhu to Kya likhu

By Sumedh Kadam in Poems » Short
Updated 10:46 IST Apr 08, 2017

Views » 768 | 2 min read

Likhu to kya likhu.
Ye zindagi ye mohobbat ye payaar ye aazadi ye desh ye mai ye tum.
Likhu to kya likhu
Baate to bahut si khatak ti hai
Dil mai tufaannsa bhi karti hai
Par phir shant bhi ho jati hai. Shayad koi daar shayad ek toota hua hausla ya ye baat ka pata hona ki meri kalam ki aawaz gungi hai
Khud se hi sawal karta hu likhu to kya likhu
Ek desh jaha naa sooch ki aazadi hai shrm ki
Jaha naa kaam ki azadi hai naa karam ki,
naa pehnawe ki aazadi hai naa pehchaan ki,
mai nahi chahata ki zindagi bhar yehi sooch k likhu , ki likhu to Kya likhu
Q ki kahi na kahi meri kalam Ka gunga pan meri himmat tod rai hai, ye visangayiya aab shabo mai bayan nahi ho Rai hai,
Aur jab har roz khidki se jhaakta hu to mere shabdo ko beaabru hota dekh
Wo kalam har roz ek maut jeeti hai.....

 

 

3 likes Share this story: 0 comments

Comments

Login or Signup to post comments.

Sign up for our Newsletter

Follow Us