×

ZAHEEN BADSHAH

By SHAHID TSR in Stories » Short
Updated 08:29 IST Feb 12, 2021

Views » 757 | 5 min read

        Bahut muddat pehle door daraaz ke ek country me ye rules tha ke iss country ke loog har saal apna king change kartay thay. Jo bhi baadshah banta wo ek letter par sign karta ke uski hukoomat ka ek saal mukammal hoone ke baad wo iss ohday se dast bardaar hojayega aur iss ek door daraaz jaziray par  chood diya jayega jahan se wo kabhi waapas na aasakega.

        Jab ek baadshah ka ek saal ka door e hukoomat mukammal hoojata tou usay ek maqsoos jazire par chood diya jaata jahan wo apni baaqi zindagi guzaarta. Iss moqay par iss badshah ko behtareen libaas pehnaya jaata aur elephant par bithaakar usay mulk ka alwidaayi safar karwaaya jaata jahan wo sab logoun ko aaqri bar qhair baad kehta.

        Wo bahut hi afsoos’naak aur sadness lamhaat hootay aur phir wahan ke loog badshah ko uss jazire par hamesha ke liye chood aatay.

        Ek baar loog apne puraane badshah ko jazeray par chood kar waapas aarahe thay ke unhoo ne ek aysi samandri jahaaz dekha jo kuch waqt pehlay hi tabah huwa tha aur ek naujawaan shaqs ne khudko bachane ke liye lakdi k eek taqtay ka sahara lay rakha tha.

        Chounkay un loogoun ko ek naye baadshah ki bhi talaash thi lihaaza unhoo ne uss naujawaan shaqs ko apni kashti me bithaaliya aur apne mulk lay aaye aur us say ek saal hukoomat karne ki darquast ki. Pehle to wo naujawaan na maana, lekin phir wo ek saal ke liye baadshah banne ke liye raazi hoogaya.

        Wahan ke logoun ne usay baadshahat ke tamaam rules and regulation samjhaadiye aur ye bhi batadiya k eek saal ke baad wo usay falah maqsoos jaziray par chood aayeingay.

        Baadshahat ke teesre din(3rd day) iss naujawaan badshah ne apne wazeer se kaha: “mujhe wo jagah dikayi jaaye jahan guzishta tamaam badshahoun ko bheja gaya tha.”

        Wazeer ne badshah ki qhaahish ka ehtiraam karte huwe usay wo jazira dikhane ka ehtimaam kiya gaya. Wo jazira mukammal taur par jungle tha aur jungle jaanwaroun se bhara huwa tha. In jaanwaroun  ki aawazein jaziray ke baher tak sunayi deti thi. Badshah jaayizah layne ke liye thoda sa jungle ke andar gaya aur wahan uskay tamaam badshahoun ke body structures nazar aaye.

        Wo samaj gaya ke uska bhi bahut jald aysa hi haal hooga aur jungle jaanwar usko cheer phaad kar kha jaayengay.

        Mulk waapas pahunchkar usnay mazboot tawaana jism ke 100 muzdooroun ko jamaa kiya. Unn sab ko uss jaziray par lay gaya aur hokum diya jungle ko 1 month me total clean kardiya jaaye.

        Tamaam qatarnaat jaanwaroun(wild animals) ko maar diya jaaye aur sab bey’kaar daraqt cut kardiya jaaye.

        Wo har mahiney jazire ka chakkar lagaata aur kaam ki khud nigraani karta. 1st month me hi tamaam qatarnaak jaanwaroun ko maardiya gaya aur phir bahut say daraqtoun ko kaat diya gaya.

        2nd month tak jazira mukammal taur par saaf hoochuka tha.

        Ab baadshah ne mazduroun ko ko hukm diya ke jazire par muqtalif maqaamaat par qhoob surat baagaat banayi jayein. Wo apne saat muqtalif paaltu jaanwar jaise Chickens, Cow, Buffaloes, ducks and wolves etc., bhi jazire me muntaqil karta raha.

        3rd month me baadshah ne apne mazduroun ko hukm diya k eek shaandaar ghar taameer karein aur iss jazire par ek badi si bandargaah bhi banayein, guzartay mahinoun ke saat saat wo jazirah ek khoobsurat sheher me badalta jaa raha tha.

        Wo naujawaan baadshah bahut saadah libaas zaybtan karta aur apni zaat par bahut kam qharch karta.

        Apni baadshahat ki zyadahtar kamaayi wo jaziray ko banaane me lagaata raha, 10th month ke baad baadshah ne apne wazeer se kaha: “mai jaanta hoon ke mujhe 2 mahinoun ke baad jazeeray me chood diya jaayega lekin may abhi se wahan jaana chaahta hoon.”

        Wazeer aur doosre wuzaraa iss baat par muttafiq nahi huway aur baadshah se kaha: “aap ko 2 maah mazeed sabar karna hooga ta’kay saal mukammal hoojaye. Saal poora hoojane ke baad hi aap ko uss jazire par chooda jaayega.”

        Bilaaqir 2 maah mukammal hoogaye aur baadshaahat ka 1 saal mukammal hoogaya.

        Hasbay riwaayaat wahan ke loogoun ne apne baadshah ko shaandaar libaas pehnaaya aur haati par bithaaya taakay wo apni ri’aaya ko qhair aabaad keh sakein. Qilaafe tawaqqu ye baadshah apni alwidaayi taqreeb par bahut hi qhush tha. Logoun ne uss say poocha: “iss moqay par guzishta baadshah to roo rahay thay lekin aap hass rahay hain. Aap ke iss qadar khush rehne ki kya wajah hay?”

        Naujawaan badshah ne jawab diya. “tum logoun ne da’naaoun ka qaoul nahi suna: “jab tum ek chotay bacchay ki surat me iss duniya me aatay hoo to tum roo rahay hootay hoo aur baaqi loog sab hass rahe hootay hain. Aysi zindagi jiyo ke jab tum maro to tum hass rahe hoo aur baaqi duniya roo rahi hoo.” Mai ne aysi hi zindagi guzaari hay.

        Jis waqt tamaam badshah mehel ki zeenatoun me khooye huwe hootey thay to mai uss waqt apne mustaqbil ke baare me soochta tha aur iskay liye unique idea tayyar karta raha. Mai ne iss jaziray ko ek aysi khoobsurat qiyaam gaah me tabdeel kardiya hay jahan ab mai apni saari zindagi nihaayat chayn aur aaraam sukoon se guzaar sakoun.”

0 likes Share this story: 0 comments

Comments

Login or Signup to post comments.

Sign up for our Newsletter

Follow Us