×

DUKH BHARI ZINDAGI

By SHAHID TSR in Stories » True Story
Updated 08:05 IST Feb 12, 2021

Views » 749 | 5 min read

      Noor bibi aur ameer khan apne bacchoun shabbir, yusuf aur ek beti sadia ke saat 2 kamroun (room) par mushtamil ek chote se ghar me hasi khushi zindagi basar kar rahe thay. Ek chotey se gaoun me agar kuch na tha tou bahut saaray rishtay thay jo ke kayi maadi ashyaa se badhkar hoote hain.

      Noor bibi aur ameer khan ka bada beta shabbier sheher me job karta tha jabke chota beta yusuf gaaoun ki hi ek bus condector tha aur beti sadia 7th class ki student thi. Noor bibi ki behen ka ghar bhi unkay ghar ke qareeb tha aur bhai bhi unkay ghar ke paas hi rehte thay.

      Behen se tou unkay ta’luqaat acchay thay magar bhai unkay kuch naaraaz hi rehtay thay. Zindagi youn hi guzar rahi thi ke noor bibi kuch bimaar rehne lagi. Wo din badan kamzoor ho rahi thi. Kabhi sar me, kabhi stomach me dardh rehne laga. Jo koi bhi treatment batata wo kartay laykin koi faida na huwa. Sadia bechaari bahut pareshaan rehne lagi. Abhi maa ki pareshani qatam na huwi ke ek aafat unpar aa’padi. Sadia ka chota bhai yusuf gaadi se gir gaya, usay fauran hospital laykar gaye. Hospital ke saaray aqrajaat gaoun ke chaudri jinki gaadi par yusuf kaam karta tha unho ne uthaliye. Yusuf 3 din hospital me bey’hoosh rehne ke baad rooti, bilakti maa aur behen ko choodkar hamesha ke liye chala gaya.

      Pehle bimaari aur phir betay ki judayi ne noor bibi ko hilaa kar rakh diya aur wo bed se lag gayi. Ameer jaan ki haalat bhi kuch aysi hi thi uski jaise kamar hi destroy hoo gayi thi.

      Noor bibi apne dukhoun ka boojh zyada daer bardaash na karsaki aur iss jahane faani se kooch kargayi. Ameer khan aur sadia ke bhai ka tou jaise sab ujadh gaya. Ameer khan ko khamooshi ki stamp lag gayi thi. Waqt jaata gaya aur ramzan ka mahina aagaya.

      Pehle to sadia padosan ke ghar se khana wagera banwa laati lekin ab thoda masla hoogaya wo agar itni choti nahi tou itni badi bhi nahi thi ke zimmedaariyan utha sakein, ameer khan andar hi andar biwi aur betay ke gamm me ghul raha tha, soo abhi noor bibi ka chehlam hi guzra tha ke ameer khan bhi safar e aaqirat par rawaana hoogaye.

      Sadia aur shabbier iss duniya me akelay reh gaye. Ab sadia ki aunty jo ke unkay ghar ke paas rehti thi unho ne faisla kia ke shabbir ki shadi kardi jaaye. Bhabi ke aajane se sadia bhi behel jayegi aur shabbir ko sahara miljayega. Iss maqsad ke liye unhoo ne ladki talaash kardi itne me shabbir ne bataya ke noor bibi apni zindagi me uskay liye rishta laykar ek qhaatoon ke haan gayi thi aur phir ammi bimaar hoogayi me chahta hoon ke mai usi ghar me shadi karoun jahan mere maa chahti thi.

      Phir wo loog rishta laykar unkay haan gaye aur unhoo ne rishta accept Karli. Shadi ki tayyariyaan shuru hoo gayi aur jald hi shadi hoogayi. Shabbir ki biwi Ayesha ke aane se ghar me raunaq aagayi.

      Bhabi ke aajane se sadia bhi bahut khush thi aur shabbir bhi thoda mutmayin hoo gaya tha.

      Isi tarah din guzartay gaye sadia ke chacha ne sadia ka haat apne betay ke liye maanga lekin shabbir ne inkaar kardia. Uss ne kaha ke hamare maa baap ki zindagi me aap ki unsay banti na thi aur me aap ko behen ka rishta kaise daydoun. Iss baat par wo insay tamaam ta’luqaat todh kar chalay gaye jab dukh aur na kaamiyaan insaan ki zindagi me daqal andaaz hooti hain tou apne bhi paraaye hoojate hain.

      Sadia aur shabbir ki aunty jo ke maa ke baad unka sahara thi unko koi jaan lewa bimaari ne aapakda aur wo kuch din sheher ke baday hospital me rehne ke baad iss jahan e faani se kooch kar gayi.

      Sadia aur shabbir ke liye ek naya dukh aapakda insaan bhi kya soochta hay aur kya hoojata hay.

      Aunty ke jaane ke baad unka dukh phir se taaza hoogaya wo sadme se tired hoogaye. Waqt sab se bada marham hay jo baday se baday zaqam ko bhi slowly slowly full kardeta hay. Waqt guzarta gaya aur phir sadia ke mamu ne sadia ka rishta apne baytay ke liye maanga tou shabbir ne haan kardi.

      Mangni ke naam par bas zubaan dedi gayi. Uskay baad sadia aur uski bhabi aysha shabbir ke saat sheher chalay gaye jahan shabbir kaam karta tha aysha acchi biwi aur acchi bhabi sabit huwi wo sadia ko khana pakaana aur ghar daari sikhati aur jald hi sadia ke saat ghul mil gayi.

      Jab kabhi shabbir ko job se leave milta wo sadia au aysha ko laykar gaoun aata. Jahan par uskay maa baap aur pyaare bhaiyou ki yaadein thi jinhi wo bhulaakar bhi nahi bhula sakay.

      Shabbir aur sadia ke zindagi me pahad jaisi dukh aaye thay aur unki zindagi dukhoun ki daastaan thi, lekin unhoo ne sabar ka daaman na chooda aur bil aaqir khushiyaan unka muqaddar bangayi.

0 likes Share this story: 0 comments

Comments

Login or Signup to post comments.

Sign up for our Newsletter

Follow Us