×

NA FARMAANI

By SHAHID TSR in Stories » True Story
Updated 21:58 IST Feb 10, 2021

Views » 571 | 4 min read

               HINA aur HASSAN doono behen bhai thay, doono bahut hi laayeq thay iss liye class me hamesha 1st aatay thay. Hina apne bhai hassan se 3 saal choti thi lekin hina ki ek aadat bahut buri thi ke wo akeli baher aana jaana pasand karti thi.uski ammi usay samjhaati thi ke beta, bhai ke saat chali jaaya karo lekin hina ek kaan se sunti doosre se nikaal deti. Iss din bhi ammi ne school jaane se qabl hina se kaha ke bhai ke saat jaana. Hina qhaamoosh rahi magar usnay jaldi jaldi naashta kia aur phir tayyar hookar school jaane lagi tou uski ammi ne dekhliya aur usay rukaakar kaha ke akeli mat jaawo school ko, bhai ke saat jaana, wo bhi tumhare saat school me padhta hay magar hina hasb’e aadat suni an suni (ignore) kardi aur baher nikalgayi. Uski ammi ne kaha ke meri baat sune bagair wo school chali gayi tou unhoo ne hassan se kaha ke chutti hoone par apne saat hina ko laana. Jab school se chutti huwi tou uskay bhai ne kaha mere saat ghar chalo. Ammi ne kaha tha ke tum chutti ke waqt hina ko apne saat ghar lay aana magar usnay kaha kay “bhai aap chalay jaayein mai qhud aajaoungi”. Uskay bhai ne usko bahut samjhaaya laykin wo naa maani tou uska bhai ghar chala gaya. Hina abhi raaste me hi thi ke uskay qareeb kuch loog aagaye aur usko pakadkar aisi jagah laygaye jahan aur bhi bacche thay aur wo jagah bahut hi khaufnaak thi. Hina ko bahut darr lagraha tha. Us ne un say kaha hay “aap mujhe yahan kyoun laaye hain. Meri ammi mera intizaar kar rahi hain, please mujhe yahan se nikaalo”. Unho ne kaha ke hum ayse bacchoun ko kidnap karte hain jo akele(single) baher aatay jaatay hain. Hina ko ab apni ammi ki saari baatein yaad aane lagi, ammi theek kehti thi ke single baher nahi jaana chahiye aur me kaisi hoon ke maa ki baat hi nahi sunti.

               Jab uski ammi ne dekha ke hina abhi tak ghar nahi aayi hay tou wo bahut pareshaan huwien aur unhoo ne hassan se kaha ke tum aas paas dekho, mai school me dekhti hoon. Jab unhi kahein se bhi hina nahi mili aur sham se raat hoogayi tou uski ammi roone lagi ke ab mai usay kahan talaash karoun. Jab unhoo ne baytay se poocha ke tum hina ko apne saat kyoun ghar nahi laaye tou usnay kaha me ne usko kaha tha, samjhaaya bhi tha magar usnay meri baat nahi maani, ab pata nahi kahan chali gayi hay. Jab hina mili tou uskay ammi abba ne police me report ki aur hina ki photo bhi diya taakay wo aasaani se hina ko talaash karein.

               Police ne bhi hina ko bahut talaash kiya lekin wo kahein nahi mili. Kaafi dino(few days) ke baad police ko maaloom huwa ke sadak ke aaqri hisse par ek makaan  me bacchoun ko kidnap karkay rakha jaata hay. Police ne jab uss makaan par chaapa maara to wahan bahut saaray bacche kidnaped thay. Police ne wahan maujood logoun ko pakadhkar jail me daaldiya. Bacchoun ne allah ka shukr adaa kiya. Jab hina ko police ghar laayi tou ammi hina ko dekhkar bahut khussh huwi. Hina bhaagkar maa ki galay lag kar bahut rooyi kea mmi me ne aap ki baat nahi suni thi iss liye khuda ne mujhe itni badi saza di hay. Hina ne apne ammi se maafi maani aur kaha. “ammi ab me akelay baher nahi jaawoungi, bhai ke saat jaaya karungi.” Hina ab school hi nahi kisi bhi jagah akelay jaane se darne lagi.

               Dekha bacchoun!

     Hina ko kitni badi saza mili thi, aap bhi akelay bazaar na jaaya karein, kahein aap ko bhi koi pakadh kar na lejaaye.

0 likes Share this story: 0 comments

Comments

Login or Signup to post comments.

Sign up for our Newsletter

Follow Us