×

khwabon Mein aana

By Simiviru in Poems
Updated 03:05 IST Mar 15, 2017

Views » 636 | 2 min read

Yeh kehte hai mujhse udaas lamhon ki na koi yaad rakhna... Mujhe apna doast samajhte hain... Kaise kahu uense ki hum kitna chahate hai uenko... Uenki yaad aati hai toh zara kho jaate hai... Uenki tasvir ko seene se lagaye rehate hai... Aansu aankho mein utar aaye toh hum roa lete hai... Jazbaato ka samundar jab ehsaas bankar dil ko beabas karta hai ues toofan mein bhi hum apna khayal wajood ko sambhal kar rakhte hai... Yeh soch kar ki kisi dine uenko mere pyaar ka ehsaas hoga... Main bhi kabhi uenki zindagi ka hissa bankar uenke dil mein rahungi... Yahi soch kar apna khayal rakhti hun... Ki uenki amaanat hun main... Uenki yaad mein neend toh aati nahi aankho mein lekin... Khwabon mein aayenge yahi soch kar aankhon ko band kar leati hu main... Haqikat mein milte nahin par khwabon mein toh aana mere pass...

2 likes Share this story: 0 comments

Comments

Login or Signup to post comments.

Sign up for our Newsletter

Follow Us