×

ILM KA KARISHMA

By SHAHID TSR in Stories » True Story
Updated 22:10 IST Feb 01, 2021

Views » 704 | 5 min read

     Kareem khan gaoun ka rehne waala tha. Wo apne gaoun ke jagirdaar chodri salman ke ghar mulazim tha. Is ka kaam chodri ke bacchoun ko school pahunchaana aur waapas laana tha. Jo thoode faasile par waqi tha. Uskay alaawa doosre kafi kaam kareem khan ke zimme thay. Wo aksar chodri salman ke saath rehta tha. Kareem khan jitni khushi se umoor sar anjaam deta, uske badle me ek chooti si raqam usko dia jaata. Shadi ke kaafi saal baad kareem khan ke haan betay ki paidaish huwi. Is khushi me usne apni aadhe mahiney ki ujrat advance layli aur poore gaoun me sweat baanti. Usne apni maa ke kehne par bacche ka naam taimoor rakha.

     Muqaami bashinday usay Mubarak baadi dayrahe thay aur wo apni musarratoun me gom tha. Chodri salman gaoun ki ek ba’ro’ab shaqsiyat thay. Noor poor aur uss say mulhaqa elaaqoun me unka danka bajta tha. Wo har dafa election me fake votes ke zarye win hoojate. Gaoun ke loog sidhe saade thay, wo unki chaalaki ko na samaj sakay aur chodri salman par jabri hukmuraani kartay rahay. Unhoo ne na-ja’iz tareeqe se  paise kamana shuru kardi. Waqt ka pahiyya chalta raha aur kareem khan ke baytay taimoor ne hosh sambhaala, uski fitrat me ta’leem hasil karne ka shouq paida hogaya. Kareem khan, chodri ke bachoun ko laykar school ki taraf jaata tou taimoor unhi khetoun ki taraf se dekhraha hoota. Unko school jaata dekhkar uskay dil me ilm hasil karne ki justujoo aur badhjaati. Jab wo zara bada huwa tou usne apni tamanna ka izhaar apne walid se kiya. Kareem khan ne apne aaba’o ajdad se suna tha ke padhkar bacche bad’tameez hoojate hain aur walidein ki nafarmaani kartay hain, iss liye wo taleem ke qilaf thay, laykin apne laqt’e jigar ki aarzu ko rad nahi kar sake thay, chunanchay usne zindagi me pehli baar chodri salman se kisi cheez ka mutaalaba kiya. Usne choudri se kaha kay wo apne baytay ko ta’leem dilana chahta hay. Choudri salman sarasar khudgarz thay aur wo ye chahte thay ke sirf unke ghar waale hi padhe likhe hooni chahiye aur kisan ke bacche sab kuwaara rehkar unki nookri kartay rahe.

     Wo ussay youn kaha “dekho kareem khan! Tumhara sirf ek beta hay aur tum ghar ke wahid kafeel hoo. Mere mano tou taimoor ko kisi kaam me lagao taakay wo koi hunar sikhe aur tumhi kuch aasra mile.”

     Kareem khan ne soocha ke choudri theek hi kehtay hain, padh likh kar taimoor ko kounsa afsar banna hay, behtar hay ke me uskay kaam par lagadoun. Unho ne taimoor ko hikmati andaaz me inkishaaf kiya ke wo usay school me daqil nahi karwana chahte hain balke kisi kaam dhande par lagwana chahte hain. Taimoor ne sarsari nigah uthaakar apne walid ko dekha aur phir unka faisla qubool karliya. Ehtijaaz ke baja’e usne chup rehne me aafiyat jani, kareem khan ne sulah mashoore ke baad taimoor ko gaa’un ke kabad qane me mazdoori karne bhejdiya. Shuru me usay kaafi uljhan huwi taaham rafta rafta usne samjhoota karliya.

     Ek din kabadh qane me ek choti si bacchi chand kitabein aur risalay sale karne aayi. Shaam ko taimoor zaroori kaam se farig huwa tou ye kitabein aur risalay ghar lay aaya aur padhne laga. Usne ibtida’e jamaat ka qaida apne saath wali baaji se padha huwa tha iss liye usay thoda bahut padhna aata tha. Aagaaz me usay waqt huwi, ta’ham usay urdu  bilkul  durust padhni aagayi. Ab wo rawani se urdu zaban bool aur padh layta tha. Waqt tezi ke saat guzarta gaya aur wo lamha bhi aagaya jab taimoor jawan hoogaya aur kareem khan ne uski shadi kardi. Taimoor ki biwi primary tak padhi thi lihaaza wo ta’leem ke silsile me taimoor ki hum qayaal nikli. Miya aur biwi ka qiyal tha kay wo apne bacchoun ko aala ta’leem dilwa’engay. Allah ne unki murad poori kardi aur wo ek chaand se baytay ke walid bangaye. Idhar kareem khan ke balloon me chandi wazih hoogayi thi. Taimoor aur uski biwi apne nayk iraaday par atal rahe. Jab unka beta OWAISE 6 saal ka huwa tou  unhoo ne usay school me daqil karadiya. Qudrat ne owaise ko zahanat se nawaaz rakha tha. Wo ta’leemi marahil tay karta raha aur 16 jama’tein pass Karli. Ab qhudrat ko taimoor ke mehnat ka phal dena tha. Choudri salman ke bacche mulk ke baher jaakar bigadgaye aur buri lat me padhgaye. Choudri salman gariboun ki khoon chooste,maut ki aagosh me chalegaye aur owaise apni qaabiliyat ke balbotey par gaoun ka jaagirdaar bangaya.

     Kareem khan, taimoor ke saamne sar jhukaye bethe thay, jinhoo ne uski zindagi be’maqsad kardi thi. Wo apne mann me taimoor se la’ilmi par maafi ke talabgaar thay, taimoor unke paas gaya aur pur ie’timaad lehje me kehne laga. “dekha abba jaan!”

     Elm ka karishma………!ilm insaan ko gustaaq nahi banata balkay ehtiraam aur izzat ka muqaam dilaata hay. Ye hum par munhasir hay ke hum usay kiss andaaz me iste’maal kartay hain, ilm tou ek rooshni hay jiss ki kirnei jaahiliyat ki jadein ukhaadh kar aqal o su’oor ke beej se diyaanat aur e’maan daari ke phool aur pauday ugaati hain.

BY:TSR GROUP

THE END

0 likes Share this story: 0 comments

Comments

Login or Signup to post comments.

Sign up for our Newsletter

Follow Us