×

GAFLAT KA ANJAAM

By SHAHID TSR in Stories » True Story
Updated 23:06 IST Feb 03, 2021

Views » 815 | 4 min read

      “Aina mariyam ab bas karo. Raat ka ek baj raha hay aur tum abhi tak computer par bethi huwi hoo, tumhi subah ko school bhi jaana hay.” Aina ki ammi ne usay daant’tay huwe kaha. Aina ne jawab diya. “ammi thoda sa game baqi reh gaya hay. Qatam hoojaye phir soo jawoungi.” Ye sunkar uski ammi badbadane lagi. “ye computer ki aejaad bhi bahut ajeeb hay.bacche har waqt computer par raheingay tou padheingay kab aur kya….? Aina walidaen ki eklooti aulad thi.uskay abbu doctor thay aur wo chahtay thay ke Aina doctor bane. Wo 8th class ki student thi. School me computer ka mazmoon padhne ki wajah se usnay zid karke computer layliya aur sone par suhagah ye internet bhi lagwaliya. Wo zyada tar computer par bethi rehti ya website par search karti, school se aakar wo khana khati aur raat gaye tak computer par game khelti rehti. Iss wajah se uski ammi pareshan rehti thi. Unho ne Aina ko pyar se aur saqti se samjhaya magar wo ek kaan se sunn kar doosre kaan se nikaal deti. Uski ammi ne internet band karwana chaha tou Aina ne roona dhoona shuru kardiya, jiski wajah se unhoo ne apna iraada badaldiya. Uskay annual exam shuru hone wale thay magar usay koi fikr na thi. Din raat computer, uska result ye nikla ke wo fail hoogayi. Principal maam ne uski ammi se kaha ke “aap ne Aina ki ta’leem par focus nahi di, jiski wajah se uska saal waste huwa. Ab iskay siwa koi charah nahi ke wo 8th class me dobarah padhe. Aina ki ammi principal miss ki batein sunn kar bahut sharmindah huwi. Ab wo unko kya batatein ke usme unki koi galti nahi balkay Aina ki wajah se ye sab huwa. Aina dobarah usi class me padhne lagi. Kuch mahinay baad school me taqriri muqabla huwa. Headline “AAP TIME KA KO KAISE USE KARTE HAIN”. Aina ne muqable me apna naam likhwaya. Usne apnea mmi se kaha kay “taqreer likhne me aap mere madad kareingay.” Unho ne jawab diya. “mujhse kya kehrahi hoo.jiss tarah tum saara din guzaarti hoo, wo likhdoo.” Na’emah ne sooch samaj kar chooti taqreer likhkar miss ke paas jama karwaadi. Muqaablay waalay din sab students ki tarah Aina bhi apni taqreer sunane lagi. “mai subah sawayray outh kar fajr namaz padhti hoon. Naashta karne ke baad school jaati hoon. Sham ko outh kar school ka kaam karti hoon. Uskay baad raat ka khana pakane me ammi ki madad karti hoon. Raat ko jaldi soojati hoon. Animals ko tangh nahi karti. Gariboun ki madad karti hoon. Muhallay ke gareeb bacchoun ko padhaati hoon aur….. Iss se pehle ke wo aagay taqreer jaari rakhti. students ne shour machaana shuru kardiya ke “ye sab jhoot hay. Aina jhoot bool rahi hay. Ye tou computer par game khelti hay ya internet par website search karti hay. Lihaaza usay muqaabla se dismiss kardiya jaaye.” Principal ne Aina se poocha. “kya ye sab sach kehrahi hain.” Aina sharmindagi ki wajah se chup rahi. Baar baar poochne ki wajah se usne haan me garden hilaayi. Sab usay alag nigah se dekh rahay thay. Aina ka dill choor choor hoogaya. Ghar aakar wo ammi se lipat kar phoot phoot kar rone lagi aur saara waaqia batadiya. Uski ammi ne kaha. “tumne apni buri aadat ki wajah se na sirf apna waqt barbaad kia balkay aaj jo sulook tumhaare saat huwa. Uski wajah se jo sharmindagi uthaani padhi, wo alag.” Aina ne apni ammi se waadah kia ke ab wo padhaai ke saat saat ghar ke kaamoun me unki madad karegi. Aina ne apna waada poora kia aur apne aap ko badal liya. Ammi ke saat saat uski school teachers aur friends bhi uski tabdeeli se khushh thi.

0 likes Share this story: 0 comments

Comments

Login or Signup to post comments.

Sign up for our Newsletter

Follow Us