×

sawaal

By rrk in Poems
Updated 01:29 IST Dec 31, 2020

Views » 553 | 2 min read

mat maang saboot mujhse meri wafai ka,

bar bar  begunahi sabit na kar paungi.

mat taol rishto ko AHAM ke taraju me,

main sah na paungi.

 

 

kis baat ka dar hai? ya hai ye bewafai teri?

kuch baat to bta.aur kuch sun meri

kyun hat rha h piche?kya hai koi majboori teri? ya khata hai meri?

kyun ban baitha hai ajnabi

kya main  kuch nhi ab teri?

 

 

aa  baith mere pass, baate karten hai,

apna apna dard fir se sanjha karte hai,

teri pareshaniyon se anjan nhi hu main,

JAANA tere har guna ka ilzaam lena hai mujhe.

 

 

gr tu de saath mera,sab kar jaungi

hr dukh se lad aage badh jaungi,

maana wo SAB KUCH ACHA waala rishta nhi h hmara,

saath to chl mukamaal ho jaungi.

haath to tham mera har musibat se lad jaungi.

 

 

0 likes Share this story: 0 comments

Comments

Login or Signup to post comments.

Sign up for our Newsletter

Follow Us