×

AAP KA DOST PAANI

By SHAHID TSR in Stories » Short
Updated 22:12 IST Feb 09, 2021

Views » 696 | 4 min read

               Kya haal hay doostoun! Aap mujhse tou yaqinan waqif hain, Jab bhi piyaas lagti hay tou aap mujhe istimaal karte hain. Kapde aur bartan dhoone ke liye mai hi kaam aata hoon. Sab se eham baat tou ye hay ke aap khudko saaf suthra rakhne ke liye mera hi istimaal kartay hain.

               Aur aap ki daily use hoone wali zindagi ka laazmi hissa hoon. Aap mere bagair guzaara hi nahi karsaktay hain aur isii liye mai aap ki zindagi me behad ehmiyat ka haamil hoon. Chunkay mai bahut eham hoon, iss liye aap ko mera bahut qiyaal rakhna chaahiye, aap mujhe kabhi zaaya na karein aur mujhe aaluda hone dein.

               Me aap ka gehra dost hoon aur aap ki daily zindagi ka laazmi hoon. Aap mere bagair guzaara karhi nahi saktay aur isii liye mai aap ki zindagi me behad ehmiyat ka haamil hoon, chounkay me bahut e’ham hoon, iss liye aap ko mera bahut qiyaal rakhna chaahiye. Aap mujhe kabhi zaaya na karein aur na mujhe aaluda hoone dein.

               Me darya’oun me behta hoon, aasmaan se barastaa hoon aur samandaroun me sab se zyaada paaya jaata hoon. Me 71% planet’s surface covered kiya hoon, magar choonkay mera zyada tar hissa namkin ya khaara hay, iss liye mere aap zyada tar hissey ko drink nahi karsaktay aur na khaana pakaane me use nahi karsaktay.

               Planet par maujood tamaam tar paani me se sirf 2.2% paani pinay ke qabil hay, tou bhai mai unique hoon na? waise haal hi me jab mujhe pata chala ke scientists ne namkin paani ko metha karne ka tareeqa search karliya hay tou mere khushi ka koi thikaana na raha. Sirf 30 minutes me samandar ke paani ko namkin se drinking water me change karne ka idea nikaal liya hay. Wah ye huwi na baat!

               Ye sab kuch saal pehle hi mumkin huwa tha, darasal mere stock me loss hoona shuru huwi aur scientists ne guess kiya ke year-2025 tak 2 arab population ko me yaa tou muyassar hi nahi hooga ya phir meri bahut kam miqdaar untak pahuch sakegi.

               Bahut se scientist sar jodhkar bethay aur nujhe mitha banaane ka tareeqa ejaad karke hi dam liya. Paani ki kami ke maslay ko hal karne ke liye scientist ne shamci tawaanayi(solar energy) ko istimaal kartay huwe bahut hi kam paise me DESALINATION ka tareeqa ayjaad kiya.

               DESALINATION bahut hi saada amal hay. Shamci tawaanayi ke zarye mujhme tayrta huwa ek aala daala jaata hay, jo mujhme garmi paida karkay namak(salt) ko mujhse alag kardeta hay. Ek Australian scientist ne namkin paani ko meetha banana ke liye ye tareeqa maaloom kiya.

               Ye technology naa sirf usual way se sasti padhti hay aur unn sab se zyada muassir bhi hay.

               Tou pyaare doostoun! Mai khussh hoon ke mazeed kaam aasakta hoon. Ab samandar me maujood mera bada hissa factories, industries aur sabziyaan ugaane ke kaam bhi aasakega. Kya aap jaantay hain ke duniya ke kayi contries ab mera istimaal bahut behtar tareeqe se kar rahe hain. Australia, Singapore, marakish, china, bartania aur cenada ke loog mera qayaal rakhte huwe qhoobi se istimaal karna seekh rahe hain.

               Ek baat aur jo behadh zaroori hay wo ye ke meri DESALINATION ki baqiyaat, jinme CHEMICAL BRINE shaamil hay, inko bhi bahut ehtiyaat se istimaal karna chahiye.

               Inko dobaara samandar me nahi bhejna chahiye, kyounkay iski wajah se naa sirf samandri paani mazeed khaara hoojata hay, balkay ye samandri hayat ke liye bahut bada qatra bhi hay.

               Aap sab ke liye mera paigaam ye hay ke samandri paani duniya bhar me bahut zyaada miqdaar me maujood hay, magar usay istimaal kartay huwe aap ko thodi samajhdaari dhikaani hoogi. Mujhe istimaal karne me kifaayat shi’aari (be frugal) apnaayein,taakay me aap ka tamaam umar(until death) doost reh sakoun.

0 likes Share this story: 0 comments

Comments

Login or Signup to post comments.

Sign up for our Newsletter

Follow Us