×

COMPLAINT BOX

By SHAHID TSR in Stories » Long
Updated 07:49 IST Feb 12, 2021

Views » 904 | 7 min read

     Paanchwi aasmaan par moujood post office ka raasta yahan se hookar jaata hay? Nimra ne raah chaltay farishtay ko rok kar poocha. Ji haan magar post office kuch hi minutes me bandh hoone waala hay. Farishtay ne watch dekhte huwe nimra ko jawab diya. Magar omooman post office tou dopeher 3 baje tak khula rehta hay.

     Nimra farishtay ke jawab par fauran boli. Ji haan magar muamalaat jumma ke din kuch aur hootay hain muhtarama. Farishta lambi saans laykar jawaaban bola. Time uswaqt 12 baja rahi thi aur nimra apni be-intihaa koshishoun ke ba’wajood abhi 3rd aasmaan tak hi pahuchi thi.

     Aysay hi kachway ki chaal chalti rahi tou aaj bhi shikaayat naama post na hoo payega aur phir baat kal pe par jaayegi. Nimra qhud baat kartay huwe fauran manfi me sar hilatay huwe boli “nahi….chaahay jo hojaye shikayat naama tou mai aaj hi post karoungi.”

     Nimra ne fauran time waste kare bagair apne HELL waalay chappal utaaray aur idhar udhar dekhe bagair seedah doodh lagaadi. Nimra itni tezz bhaag rahi thi jaise hawa ke horse par sawaar ho. Hawa ke horse par sawaar raaste ki zenat bane ka’ee waqiyaat nimra nazar bandh karti jaarahi thi.

     Paanchwi aasmaan par moujoodah post office ke raaste me kayi bagaat padhtay thay. Jo har lihaaz se haseen aur pur sukoon thay. Inn bagaat ko nazar bandh kartay huway kayi martaba nimra ka dil karta ke kahin rukh kar aaraam karloun magar zehen par sawaal shikaayat name ka qiyaal uska hoosla toothne na deta.

     Bilaaqir nimra post office ke baheri darwaaze se enter huwi. Sawaaliyoun ki lambi line dekh kar nimra hairat zada rehgayi. Har koi apna letter post karne ki ummeed liye post office ke bunyaadi daftar ke baher apne baare ka intizaar karraha tha.

     Nimra mann hi mann me soochne lagi mai akela nahi hoon jo allah ko complaint letter bhejne ki niyyat se aayi hoon….. mere alaawa bahut se aur bhi hain jo apni maut se khush nahi hain.

     Intizaar karne waaloun ki line me nimra ka number last tha, ghanta intizaar karne ke baad aaqir wo waqt aahi gaya jiss ka number ko be-sabri se intizaar tha. Jaise hi nimra post office ke daftar me enter huwi tou uski nazar uss farishtay par padhi jo allah ke naam likhey letters post karne ka kaam sar anjaam deta tha.

     Wo farishta bahut jaldi me tha, usne nimra ko khusham’deed kahe bagair hi apne counter par “CLOSED” ka board laga diya. Office bandh hoogaya hay aap next week aajaen, farishte ne nimra se sorry kehte huwe kaha.

     “dekhein me badi mushkil se yahan pahunchi hoon aaj___aur mera aaj ke aaj ye letter post karna bahut zaroori hay, nimra farishtay se iltijaa kartay huwe boli. “muhtarah jumma ka waqt hay aur me maamool se thoda late hoogaya hoon, mai iss waqt aap ki koi madad nahi karsakta.” Farishta tezz lehje me bola.

     “dekhein mai apni achaanak maut se khush nahi hoon aur mujhe apni ye shikaayat jald az jald allah tak pahunchaani hay, mere bahut se kaam zameen par adhoore rehgaye hain jin ka mukammal hoona bahut zaroori hay.” Nimra apni baat par zoor dete huwe farishte se boli “please mujhe ye letter post karne dein allah aap ka bhala karay.

     “nimra ki pur israar iltijaa farishta zyada deir tak sambhaal nahi paaya, wo ek lamhe ke liye sooch me padh gaya. “muhtarama! Farishte ne nimra ko muqaatab kar ke ek lambi saans kheenchi. Aap ek kaam karein…..” farishta baat mukammal karte huwe bola “aa piss room me maujood complaint box me apna letter iss stamp ke saath khud hi daaldein….. me thoda jaldi me hoon.” Farishta apni baat mukammal karte hi wahan se chala gaya, ab uss khaali post office me nimra apne shikaayat name ke hamraah tanhaa khadi thi.

     Farishte ne jiss janib eshaara kiya tha wo karma bunyaadi office ke east side me tha. Nimra ne waqt zaaya na karte huwe room ki taraf chalna shuru kardiya. Khadam badhaate huwe nimra ke haat apne left shoulder par latke huwe purse se shikayat naama nikaalne me masroof thi. Jaise hi nimra apne right hand me pakda aur shikayat naama lekar room me enter huwi uski nazar thodi door padhey complaint box par padhi jo khaali tha, ye dabba khali kaise hoo sakta hay jabke baher lage sawaliyoun ki hujoom ki me khud gawaah hoon. Nimra ye sab sooch hi rahi thi ke achaanak uski nazar complaint box ke thode door rakhe ek aur box par padhi jiske baher “THANK YOU” likha thaa. wo box iss qadar bhara huwa tha ke uski oopar wali satah par maujood kuch letters nikaale jaasakte thay, loog marne ke baad bhi aqalmandi ka muzaahira nahi kartay….. warna complaint box me dale jaane wale letter kabhi kisi doosre box ki izzath na badhaatay.

     Nimra ka qiyal tha ke loog galti se apni shikaayat doosre dabbay me daal gaye hain, jab ke unka asal maqam complaint box tha. Kyoun na me hi un logoun ki gaibi madadgaar banjaoun? Nimra ne madad ke iraade se socha, nimra ab ‘THANK YOU’ box ke paas khadi eke k karkay letters nikaalne lagi. Letters bagair kisi lifaafay ke thay iss liye aasaani se padhe jaasaktay thay, aur yahi wajah thi ke nimra naa chahtay huwe bhi letters padhne lagi. First letter jo nimra ne padha wo ek boodhe aadmi ka tha jiss ke 2 baytay thay.

Letter me likha tha:

     Ae mere rab me tera kiss tarah shukr adaa karoun. Tu mere baytoun ki niyyat se qhoob waqif tha, tu jaanta tha wo mere farmabardaar iss wajah se nahi hain kyounke wo mere aulaad hain. Unki wafaadari ke peeche unke makkaaraana eraaday aur unki ex.mom ke naam wo property hay jo mai ne kayi saaloun pehle usay nikah ke waqt di thi. Mere baytay wafaadari ki aad me mujh se wo property Layna chahtay thay. Unka maqsad apni ex.mom ki tamaam tar qhidmatein faramosh karkay usay be’ghar karna tha, magar tu ne aysa hone nahi diya, mere achanak maut ne mere baytoun ke na’paak eraaday na’kaam kardaalay aur wo na chahtay huwe bhi apni maa ki qhidmat karne par majboor hoo gaye.

     Beshak tu tamaam chizoun ka ILM rakhne waala kaarsaaz hay. Beshak maut barhaq hay.

2nd letter likhne waali ghost ek jawan bey aulaad lady thi.

Uss letter me likha tha:

     “ae mere rab me kiss tarah tera shukr adaa karoun, mai ka’e saaloun se bey aulaad thi aur iss baat se bey khabar thi ke mera husband kisi doosri lady se na jaa’ez rishta rakhne ke liye interested.

     Mere be’maari se achaanak maut ne mujhe duniya ki aziyyat bhari zindagi aur mere husband ki bey wafaa’e doonoun se najaat daydi. Be’shakh tu tamaam chizoun ka ILM rakhta hay.beshakh maut barhaq hay.”

     Aaqri letter jo nimra ne padha wo zenab ka tha.

Letter me likha tha:

     “ay mere rab me tera kiss tarah shukr adaa karoun.

     Tu ne mere maut roshan kardiya, ay mere rab me tera shukr guzar houn kay tu ne mujhe duniya ki adaalatein paamaal izzatoun ka insaaf karne me hamesha na kaam rahi hain. Mere izzat tu ne hamesha ke liye mehfooz Karli… me shukr guzaar houn teri ataa karda Jannat ki. Beshak tu tamaam chizoun se ILM rakhne waala hay. Beshak maut barhaq hay.”

     Jaise hi nimra ne rab ke naam zenab ke letter padha usay apna wajood apne haath me maujood shikaayat naama jaisa choota mehsoos hoone laga.

     “muhtarama! Aap abhi tak yahan hain? Farishtay ki achaanak entry par nimra shocked hoogayi.

 “haan__bass___ wo mai jaarahi thi.” Nimra ne ghabraakar jawab diya. “magar letter tou aap ne complaint box me nahi daala?” farishtay ke sawaal par nimra ne apna letter apne hatayli me zoor se dabaaliya. “haan… wo mujhe qayaal nahi raha me jaldi me galat letter laykar aagayi. Phir kabhi aur din laykar aaoungi.” Nimra ne jawab detey huwe kaha. “aap bas allah ko shukriya kehdijiyega……khuda hafiz.”

     Nimra ke jaatay hi farishtay ne ek baar phir se box ko smiling kartay huwe dekha aur bola “beshak allah tamaam cheezoun ka ILM rakhne waala kaar saaz hay. Beshak maut barhaq hay.”

0 likes Share this story: 0 comments

Comments

Login or Signup to post comments.

Sign up for our Newsletter

Follow Us